Saturday 18 November 2017

muddat hui hai yar ko mahman kiye hue
josh-e-qadah se bazm charagan kiye hue
karta hun jama phir jigar-e-lakht-lakht ko
arsa hua hai dawat-e-mizshgan kiye hue
phir waza-e-ehtiyat se rukne laga hai dam
barason hue hain chak gireban kiye hue
phir garmnala haye shararbar hai nafas
muddat hui hai sair-e-charagan kiye hue
phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishq
saman-e-sadhzar namakdan kiye hue
phir bhar raha hun khama-e-mizshgan bakhun-e-dil
saz-e-chamantarazi-e-daman kiye hue
bahamdigar hue hain dil-o-dida phir raqib
nazara-o-khayal ka saman kiye hue
dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jaye hai
pindar ka sanam kada wiran kiye hue
phir shauq kar raha hai kharidar ki talab
arz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jan kiye hue
daude hai phir har ek gul-o-lala par khayal
sadgulsitan nigah ka saman kiye hue
phir chahta hun nama-e-dildar kholna
jan nazar-e-dilfarebi-e-unwan kiye hue
mange hai phir kisi ko lab-e-bam par hawas
zulf-e-siyah rukh pe pareshan kiye hue
chahe phir kisi ko muqabil mein arzu
surme se tez dashna-e-mizshgan kiye hue
ik naubahar-e-naz ko tak hai phir nigah
chehra furog-e-mai se gulistan kiye hue
phir ji mein hai k dar pe kisi k pare rahen
sar zer bar-e-minnat-e-darban kiye hue
ji dhundta hai phir wahi fursat k rat din
baithe rahen tasawur-e-janan kiye hue
'Ghalib' hamain na cher k phir josh-e-ashk se
baithe hain ham tahayya-e-tufan kiye hue

No comments:

Post a Comment

muddat hui hai yar ko mahman kiye hue josh-e-qadah se bazm charagan kiye hue karta hun jama phir jigar-e-lakht-lakht ko arsa hua hai daw...